Silsila tod diya usne toh phir ye
sadayein kaisi.
Ab jo milna hi nahi toh fir ye
Wafayein kaisi.
Maine chaha tha sab shikhwe gile
Dur karna,
Usne Zehmat na ki sunane ki phir
Ye aahein kaisi.
Le lo wapas ye aansu ye tadap
Aur ye yaadein sari.
Nahi koi Jurm mera to phir ye
Sazaien kaisi.
Kyun tu acha lagta hai , waqt mila to sochenge
Tujh mein kya kya dekha hai, waqt mila to sochenge
Sara sheher shanasai ka , dawedar to hai lekin
Kon hamara apna hai , waqt mila to sochenge
Hum ne usko likha tha , kuch milne ki tadbeer karo
Us ne likh ker bheja hai , waqt mila to sochenge
Mosam khushbu baad-e-saba chand shafaq aur taron mein
Kon Tumhare jaisa hai ,waqt mila to sochenge
Ya to apne dil ki mano , ya phir duniya walon ki
Mashwara uska acha hai ,waqt mila to sochenge