Fanaa…

Anjaan hain dil k halaato se hum, ghumon ki surahi se khushi k jaam peete hain

Yu ulajh chuke the zindagi k dhaage, k tod kar hi sukoon sulajhne ki ummed karte hain)

Ikk aakhri dor atk rhi hai saanso ki, tut jaane ki dua kabool ho ye dua krte hain

Gir rhe hain andhere karmo ki gehrai mein, ab bass jahannum k darwaaze ke sahaare liya karte hain

 

Naa jane kab girne lagi fir ankhuli aankho par roshni, Ikk farishte ki tasveer si tatolte hain

Beshaq koi khel khel rhi hain ye ummed ki kirne, inn ankhon par bhale ab tak bharosa kar kiya karte hain

Saari umr lga kar nafrat k khazane kamaaye hain, kayi paak dilo par dhoke k daag lagaaye hain

Iss noor k aakhri deedar ki ijaazat yu farmaan hui, iss kismat par pakiza hone ka ilzaam ab lagate hain

Gar maut ki panah haasil kar chuke hain.. kisi ki dua k sadke hi jannat ki jhalak ka mazaa utha rahe hain

 

Purani yado ka bawandar kuch aisa panapne lga fakat, uska wo aakhri kalma hawayein gungunati hain

K kya fark hai batao meri chahat aur tumhaari mohobbat mein, jo farishte bewafaai ke ilzaam lgate hain

 

Kya kehte hum dil ka haal ye soch kar katrate the, fir bi sadaiyo se chupe raaz kuch yu sunate the

Tum chahat mein apne dil ki zidd ki hifaazat karte ho, hum mohobbat mein teri ruh ki ibaadat karte hain

Tum shayad hume paane ki beparwaa umeed karte ho, hum beparwaa anjaam tumse mohobbat karte hain

Ikk zindagi ka khayal bhar hai kisi benaam shayar ka, ikk zindagi ka sarmaya sa bayaan karti hai

 

Inn yaado ke nashe mein bass zindagi ko alvida kar dein, issi ummeed mein roshni se mu fer lete hain

Qayaamat tak le ske khuda ki har sza hass kar, iss manzar ko hum aankhon mein to ab yu kaid karte hain,

Jisse zindagi bnaya uske haatho maut ka taufa mila, iss tameel ka shukriya ada hum roz karte hain

Flash of lightning

Sometimes when you’re trying so hard to create something, nothing materializes. But sometimes, you’re just driving a car, doing some chores and out of nowhere, inspiration strikes you like a flash of lightning, and words start pouring out like blood from a fresh wound..

Dil Ke Hazaaro tukde hain.. har tukde ke kuch kisse hain

Kuch naadani mein bhul gaye, kuch baimaani mein chod diye

Kuch tut gaye, kuch rondh diye, kuch humse thakk kar chooth gaye

Kuch humne bhi thukra diye.. kuch aate aate rooth gaye

jo hum tak wapas pohonch gaye, wo chuppi si mein doob gaye

Kuch meethe pal, kuch yaadein thi.. kuch addhoori mulakatein thi

Main Simat nahi sakta jo, kuch bikhri si wo baatein thi

Kuch narm hain, kuch sakht hain, kuch bebaak, kuch shiqast hain

Kuch kisse jinke shayad ab, dilon mein koi mol nahi

Ye tukde jinke shayad ab, zakhmon ka koi hisaab nahi

Kuch himmat karke aaj bhi, sochte hain badal denge inki taqdeer

kabhi jotde hain, kabhi todte hain, kabhi hasste haste rote hain