Aashiqui

Iss qadar kyun chahte hain tumhe koi ilm nahi humein

bass chahat ki har hadd kuch iss kadar paar kar jaeyin

dil se nahi rooh se kuch pukaar niklti hai yun

tumhe paakar bass tum mein khud hum simat jaayein

dil cheer kr dekh lo, kuch khabar nhi kyu aisa kuch ho rha hai

bass tumhare ikk chehre ko dekh kar mera yeh dil ro rha hai

kuch yun tumhe apne andar jazb kar paate gar mumkin hota

kuch haalaat alag hote yaa kuch hum insaan alag ho jayein

dil cheer kr dekh lo, tumhara naam likha hai har kone par,

bass ab thake baithe hain har kona iss dhabhe se harra kar jayein

humein kadar nhi unn sab ki jo hum par jaan lutaye baithe hain..

bass tum par aakar aisa kyu lagta hai k sabki jaan luta jayein

tumhari rooh ko chuh lein to shayad jannat ka rasta mile humein

tumhare rooh ko chuh lein to shayad jahanum ko alvida kar jayein..

ikk roz ye soch kr baithe the k aaj bhool jayeinge tumko

ikk roz ye soch kr baithe the k aaj bhool jayeinge tumko

fir socha kya maloom apni pehchaan ka tukda shikast kar jayein..

inn bahon ki bhookh to naa jaane kab se lekar baithe hain

inn bahon ki bhookh to naa jaane kab se lekar baithe hain

iss soch mein ab baithe hain k tere naam ko gumshuda kr jayein

teri jaan.. teri yaad k sadke.. ab iss hasti ko alvida kr jayein

Fanaa…

Anjaan hain dil k halaato se hum, ghumon ki surahi se khushi k jaam peete hain

Yu ulajh chuke the zindagi k dhaage, k tod kar hi sukoon sulajhne ki ummed karte hain)

Ikk aakhri dor atk rhi hai saanso ki, tut jaane ki dua kabool ho ye dua krte hain

Gir rhe hain andhere karmo ki gehrai mein, ab bass jahannum k darwaaze ke sahaare liya karte hain

 

Naa jane kab girne lagi fir ankhuli aankho par roshni, Ikk farishte ki tasveer si tatolte hain

Beshaq koi khel khel rhi hain ye ummed ki kirne, inn ankhon par bhale ab tak bharosa kar kiya karte hain

Saari umr lga kar nafrat k khazane kamaaye hain, kayi paak dilo par dhoke k daag lagaaye hain

Iss noor k aakhri deedar ki ijaazat yu farmaan hui, iss kismat par pakiza hone ka ilzaam ab lagate hain

Gar maut ki panah haasil kar chuke hain.. kisi ki dua k sadke hi jannat ki jhalak ka mazaa utha rahe hain

 

Purani yado ka bawandar kuch aisa panapne lga fakat, uska wo aakhri kalma hawayein gungunati hain

K kya fark hai batao meri chahat aur tumhaari mohobbat mein, jo farishte bewafaai ke ilzaam lgate hain

 

Kya kehte hum dil ka haal ye soch kar katrate the, fir bi sadaiyo se chupe raaz kuch yu sunate the

Tum chahat mein apne dil ki zidd ki hifaazat karte ho, hum mohobbat mein teri ruh ki ibaadat karte hain

Tum shayad hume paane ki beparwaa umeed karte ho, hum beparwaa anjaam tumse mohobbat karte hain

Ikk zindagi ka khayal bhar hai kisi benaam shayar ka, ikk zindagi ka sarmaya sa bayaan karti hai

 

Inn yaado ke nashe mein bass zindagi ko alvida kar dein, issi ummeed mein roshni se mu fer lete hain

Qayaamat tak le ske khuda ki har sza hass kar, iss manzar ko hum aankhon mein to ab yu kaid karte hain,

Jisse zindagi bnaya uske haatho maut ka taufa mila, iss tameel ka shukriya ada hum roz karte hain

Therapy

Sometimes, writing is therapeutic, sometimes I write to calm myself, to see the truth, to not be lead astray…

Dil chodd de ye zidd inn dilkash lamho ki,

Inke Haq mukammal ho chuke zamaano ki baat hai

Inn aahton ki dhoop ki chahatein naa kar

Inmein jalke zinda rehna parwaano ki baat hai

 

And then sometimes, it just flows out of me.. like a stream I have no hopes of controlling, I can only wait for it to pass.. and hope that I can hold on, keep my feet on the ground and keep moving

Sab jod k ab chodd de, Iss waqt ka pahiya tod de

Dil dil ka chakkar chod de, Iss mod se ab muh mod le

Kuch dil k tukde baant de, Iss gum ka rasta chodd de

Gumm jaa hadd k galiyaaro se, Ab sharm ka ghunghat oddh le

 

Par maan le kaise baat ye, Iss dil ka dard prakop hai

Lad lein iss duniya se bhi ab, Iss zid ka koi naa tod hai

Ladna mushkil sa hai par ab, Uss nadaani si soch se

Uski baato ki nok se, Usske dil ki uss chot se

 

Anjaan bane baithe hain bass, Ikk  darr se naata jod k

Hain choron ki hum basti mein, aur dil bhi humse chor hai

Lutt kar baithe hain kabse hum, ikk parde ka afsos hai

 

Inn bikhri tooti yaadon ka, kuch mol nhi unn nazro mein

Inn lamho aur tasweero ko anmol banaye baithe hain

Dil se ladne ka zor nhi, Kya haal banaye baithe hain

Random thoughts of a kukoo heart

I had a horrible dream.. it was very sweet and enjoyable actually.. but it left me disturbed when I woke up, at the thought of my inner screwed up sense of love and relationship even if I’m outwardly very enlightened and intelligent about dealing with these matters now.. Anyway, I calmed myself by writing couplets and these are the choice couple out of half a dozen.. halfway decent I’d say 😛

Chahat ke bazaar mein roz ek nayi chahat se dil behlaate hain..

Mohobbat ke deewano ka yaha koi kaam nahi

Perhaps not self explanatory, cuz I had to actually explain it to the couple of people who read it.. here chah carries its literal meaning ‘want’. So what it’s trying to say is that the heart is a jitterbug.. chanchal you know.. it gets attracted to something new everyday.. it gets obsessed with something new everyday.. and it’s very selfish.. the heart wants what the heart wants.. and these wants change everyday as old attractions fade and new ones develop..

Mohobbat here refers to love, which is eternal, not limited to lovers, flowing in all directions, maybe more concentrated towards some people, but it’s not selfish.. it’s a positive feeling.. how can it be negative when there are no expectations.. there are expectations in relationships.. not in love.. it’s boundless..

Anyway.. here’s another one.. self explanatory

Shamaa ke bazaar mein parwaano ka sauda kar aye..

Iss khel ko yaaro hum uski chaukhat par khatm kar aye..

Boht laanat di dil k saudagro ne..

Hum dil k tukdo ka ikk aur taufa kubool kar aye

Anand

Kayi duniya ke maare mein

Kuch shayad kismet se bechaare hain

Sabko bhar bhar milta hai

Ismein koi jaat paat ka sawaal nahi

Kuch mann kho kar mol chukate hain

Kuch muft mein hi batorte jaate hain

Kuch khelon ki tadbeer sahi,

Kuch apni hi taqdeer sahi..

Tohfe mein sabko milte hain,

Duniya ki ikk reet sahi..

Kuch mantar phoonk chalate hain

Kuch zehr ka zor apnaate hain

Kuch doob jaate hain terne ki firaak mein

Kuch paniyo mein ghul jaate hain

Kuch ikk nayi si baat bhi bataate hain

Jaante hain k ise lauta nahi sakte kahin

Mita nahi sakte naa bhasm hote hain ye,

Haar gaye kayi gehraaiyaan dhoondte dhoondte,

jahan inhe abhi bhi poori tarah dabaa nahi sakte

Samet te hain pal.. bade shaunk se ye

Inn gehre kaale paniyo mein motiyo ki talaash karte hain..

Kuch hassne hasaane ki baat kiya karte hain shayad

Kehte hain, dukh apne liye rakh, Anand sabke liye

Flash of lightning

Sometimes when you’re trying so hard to create something, nothing materializes. But sometimes, you’re just driving a car, doing some chores and out of nowhere, inspiration strikes you like a flash of lightning, and words start pouring out like blood from a fresh wound..

Dil Ke Hazaaro tukde hain.. har tukde ke kuch kisse hain

Kuch naadani mein bhul gaye, kuch baimaani mein chod diye

Kuch tut gaye, kuch rondh diye, kuch humse thakk kar chooth gaye

Kuch humne bhi thukra diye.. kuch aate aate rooth gaye

jo hum tak wapas pohonch gaye, wo chuppi si mein doob gaye

Kuch meethe pal, kuch yaadein thi.. kuch addhoori mulakatein thi

Main Simat nahi sakta jo, kuch bikhri si wo baatein thi

Kuch narm hain, kuch sakht hain, kuch bebaak, kuch shiqast hain

Kuch kisse jinke shayad ab, dilon mein koi mol nahi

Ye tukde jinke shayad ab, zakhmon ka koi hisaab nahi

Kuch himmat karke aaj bhi, sochte hain badal denge inki taqdeer

kabhi jotde hain, kabhi todte hain, kabhi hasste haste rote hain

Some more random lines

Just pour out of me sometimes.. they do..

Sirf kyonki hum aastik nahi, iska matlab ye to nahi ki humari baat acchi nahi
Sirf kyonki hum shayar nahi, iska matlab ye to nahi ke hamaare jazbaat sacche nahi

 

 

Tere maikhane se naaraaz hokar humne bhi chalne ki thaan li,

botal rakhkar, joote pehenkar, bahar chalte hi jaise jalti ek saans nikli.

Ye kaisa nasha hai, jo uttarte uttarte bhi asar dikha raha hai,

Hum jitna door jaana chahte hain, utna ye tumhe kareeb la raha hai.

Iss dil mein ye kaisi kasak si uthh rahi hai, yun ikk dar sa zehen mein sama raha hai,

Ke yahan se ab jaayein bhi to kahan jaayein, hamara jahaan to bas isi mein simta hua ha, yeh botal hai… yaaron ka saath hai… aur tumhari mohobbat..

Par yeh mohobbat bhi kya mohobbat hai,

Tum jitne sitam kiye jaa rahe ho, hum utna mazaa paa rahe hain.

Tum jitna dhutkaar rahe ho, hum utna puchkaar rahe hain.

Tum Jitne door jaa rahe ho, hum utne kareeb aa rahe hain.