Kayi duniya ke maare mein
Kuch shayad kismet se bechaare hain
Sabko bhar bhar milta hai
Ismein koi jaat paat ka sawaal nahi
Kuch mann kho kar mol chukate hain
Kuch muft mein hi batorte jaate hain
Kuch khelon ki tadbeer sahi,
Kuch apni hi taqdeer sahi..
Tohfe mein sabko milte hain,
Duniya ki ikk reet sahi..
Kuch mantar phoonk chalate hain
Kuch zehr ka zor apnaate hain
Kuch doob jaate hain terne ki firaak mein
Kuch paniyo mein ghul jaate hain
Kuch ikk nayi si baat bhi bataate hain
Jaante hain k ise lauta nahi sakte kahin
Mita nahi sakte naa bhasm hote hain ye,
Haar gaye kayi gehraaiyaan dhoondte dhoondte,
jahan inhe abhi bhi poori tarah dabaa nahi sakte
Samet te hain pal.. bade shaunk se ye
Inn gehre kaale paniyo mein motiyo ki talaash karte hain..
Kuch hassne hasaane ki baat kiya karte hain shayad
Kehte hain, dukh apne liye rakh, Anand sabke liye